New Micromax In Note 1 and Micromax 1b with MediaTek SoCs available in India on Nov 26

Micromaz-in-not-1-and-1B

Micromax In Note 1 and Micromax 1b comes with MediaTek SoCs, 5000mAh big battery and Stock Android 10(Q)

Indian Smartphone banane wali company Micromax ne lambe samay ke baad apne do naye smartphone ko apni “IN” series me launch kar diya hai. Micromax In Note 1 or dusra In 1b ko 03 November 2020 ko launch kar diya hai. Yeh dono hi smartphone complete ‘Stock Android 10’ ke saath aata hai.

Ye smartphone un logo ke liye kaafi behtar hai, jo apne phone me add nhi chahte hai. Stock Android ek achha experience dene wala hai apne users ke liye. In dono hi smartphones me MediaTek SoCs processor diya gaya hai. Micromax ‘In’ series me 5000mAh ki lambi battery di gayi hi, jo ek lamba battery backup degi.

Micromax In Note 1

  • Display 6.67-inch (1080×2400)
  • Processor MediaTek Helio G-85
  • Front Camera 16MP
  • Rear Camera 48MP + 5MP + 2MP + 2MP
  • RAM 4GB
  • Storage 64GB
  • Battery Capacity 5000mAh
  • OS Android 10

Display :- Micromax In Note 1 me aapko 6.67-inch ka FHD +IPS touchscreen display diya gaya hai, jo 1080×2400 resolution pixels or aspect ratio 20:9 ke saath aati hai.

Processor :- Micromax In Note 1 me 2GHz octa-core MediaTek Helio G-85 processor diya gaya hai. Iska base variant 4GB RAM ke saath aata hai. Yeh phone complete Stock Android 10 ke saath aata hai or 5000mAh ki lambi battery di gayi hai. Is phone me aapko fast charging ko support bhi diya gaya hai, jo 18W charger in box me milta hai.

Camera :-  Is phone ke camera part ki baat kare to isme aapko 48-megapixel primary camera jo f/1.79 aperture or pixel size 0.8-micron diya gaya hai.  Dusra camera 5-megapixel ka jo f/2.2 aperture or pixel size 1.12-micron ke saath aata hai. Isme third camera 2-megapixel or fourth 2-megapixel ka diya gaya hai. Rear camera setup autofocus ke saath aata hai.  Selfie ke liye isme 16-megapixel ka front camera diya gaya hai, jo punch hole camera hai. jisme f/2.0 aperture or 1.0-micron pixel size diya gaya hai.

Storage :- Micromax In Note 1 Android 10 par based hai, or isme 64GB inbuilt storage ka base variant diya gaya hai. Jise microSD card ki madad se 256GB expanded kiya ja sakta hai. Yeh smartphone dual-SIM (GSM and GSM) Nano-SIM cards ko support karta hai. Micromax In Note 1 ke measures ki baat karein to 165.24 x 76.95 x 8.99mm (height x width x thickness) and weights 196.00 grams milta he. Yeh smartphone ko Green and White colours me launched kiya gaya hai.

Connectivity :- Connectivity options me Micromax In Note 1 me aapko Wi-Fi 802.11, GPS, Bluetooth v5.00, USB Type-C, 3G and 4G (support LTE networks in India) milta he. Sensors ki baat karein to isme accelerometer, ambient light sensor, compass/ magnetometer, gyroscope, proximity sensor, and fingerprint sensor diya gaya hai.

Micromax ka yeh phone 26 November 2020 ko Flipkart or Amazon.in par uplabdh hoga. Micromax In Note 1 ki starting price Rs. 10,999.00 rakhi gayi hai.

Micromax 1b

  • Display 6.52-inch (720×1600)
  • Processor MediaTek Helio G-35
  • Front Camera 8MP
  • Rear Camera 13MP + 2MP
  • RAM 2GB
  • Storage 32GB
  • Battery Capacity 5000mAh
  • OS Android 10

Micromax ke is smartphone ko bhi 3 November 2020 ko launch kiya gaya  tha. Micromax In 1b me 6.52-inch touchscreen display diya gaya hai jo 720×1600 resolution pixels or aspect ratio 20:9 ke sath aata he. Is phone me Octa-Core MediaTek Helio G-35 processor diya gaya hai, Isme aapko 2GB RAM milta hai or 3GB, 4GB RAM option bhi diya gaya hai. Micromax In 1b Android 10 par chalta hai. Isme aapko 5000mAh ka non-removable battery di gayi hai, jo lambe samay tak sath degi. Micromax In 1b fast charging ko bhi support karta hai.

Camera :- Is smartphone me camera ki baat kare to isme aapko rear me 13-megapixel ka camera diya gaya hai, jo f/1.8 aperture ke saath aata hai. Iske alawa isme dusra camera 2-megapixel ka diya gaya hai. Selfie ki baat karein to selfie ke liye isme aapko 8-megapixel ka camera diya gaya hai.

Micromax In 1b Android 10 par based hai, jo 32GB inbuilt storage ke base variant ke saath aata hai jise microSD card se 128GB tak expand kiya jaa sakta hai. Micromax ke is smartphone me dual-SIM (GSM and GSM) support milta hai, jo Nano-SIM cards ko support karta hai. Measures ke baat karein to isme 164.50 x 75.80 x 8.90mm (height x width x thickness) and weight 188.00 grams ka hai. Yeh phone Blue, Green, or Purple colours me launch kiya gaya hai.

Connectivity :- Connectivity options me isme aapko Micromax In 1b me Wi-Fi, GPS, Bluetooth v5.00, USB Type-C, 3G or 4G (support LTE networks in India) ka support milta hai. Sensors ki baat karein to isme accelerometer, ambient light sensor, gyroscope, proximity sensor, and fingerprint sensor diya gaya hai.

Micromax ka yeh phone 26 November 2020 ko Rs. 6,999.00 ki starting price me available hoga.

हम आशा करते है की ये आर्टिकल आप लोगो पसंद आया होगा। गैजेट्स एंड टेक से जुड़ी नयी जानकारी पाने के लिए Suggest2u.com को (Twitter, Instagram, Facebook) पर फॉलो करे। आप हमे E-Mail के माध्यम से अपने सुझाव और सवाल हमारे E-Mail :- info@suggest2u.com पर भेज सकते है!

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x
error: Content is protected !!