New Version of Android and History

Aaj hum is lekh me bat karne wale hai ki  “Android” ke bare me, android kya hai.yeh kis tarah se kam karta hai. Or janege sabse update new version ke bare me iski khubiyo ke bare me jiski vajah se kya-kya naye updates ke bare me. Android ki shuruat kab hue. Lagbham hum sabhi log aaj android smartphone ka use kar rahe hai. Lekin hum se kai logo ko android ke bare me jyada jankari nhi hai ki yeh kish tarah kam karta hai. Android ki history kya hai. Aaj hum in sabhi subject ke bare me detaild me janege, to chaliey shuru karte hai.

Android Kya Hai ? (What is Android)

Android koi application ya koi mobile phone nhi hai, yeh ek operating system hai. Ise android duara banaya gya tha, 2005 me ise Google ne khareed liya. Android linux kernel operating system ke upar based hota hai. Hum ise or aasani sa samajhte hai, linx Linux ek Operating system hai, jo ki mukhya rup se server or desktop computer me use kiya jata hai, to Android ek version hai Linux ka jise bahut saare modification ke bad banaya gya hai. 

Halaki android ek esa Operating System hai, jise ‘Mobile’ ko dhiyan me rakhte hue design kiya gya tha. Taki isme phone ki sari function’s or application’s ko asani se run karaya ja sake. Hum jo kuch bhi phone ki display par dekhte hai bo sabhi operating system ke bhag hi hote hai. Jab bhi aap koi Call, Text massage ya Email pate hai. Tab aapka OS(Operating System) hi use process karta hai. Or aapke samne readable format me pesh karta hai.

Android OS(Operating System) ko bahut sare version me divide kar diya gya hai. Or jise alga-alag number diye gye hai, unke features, operation stability ke hisab se. Aapne bhi kabhi ese nam sune honge jaise Android Lollipop, Marshmallow, Naugat or Pie ye sabhi android version ke hi alag-alag name hai. 

Wikipedia ke mutabik, android 2011 se smartphone par or 2013 ke bad se tablet par duniya bhar me best saling operating system rha hai. May 2017 tak, isme 02 arab se jyada active users hai. Jo kishi bhi Operating System ka sabse bda aadhar hai. Or jun 2018 me ‘Google Play Stor’ par 3.3 milions se adhik android apps hai. Aaj ke time desktop users se jyada mobile users hai. Android apps ek android develper duara banai jati hai. Aap kisi bhi android aap developer se apne liye android app banva sakte hai. 

Android ka Etiahas (History of Androids)

Android ko pehli bar android incorporation (Android Inc.) duara November 2007 me released kiya gya tha. Android incorporation ki shuruat 2003 me Andy Rubin ne ki thi, jise 2005 me Google ne khareed liya tha. Andy Rubin ne 2003 me iski shuruat ki thi, yeh ek open source platform hai. Ise Open Handset Alliance me sabhi hardware or software banane wali companies ne isko saraha or iske bad yeh phone me use hua. Jisse phone me kafi cheeje possible ho pai hai. Jisme “Google, Intel, HTC, Sony, Dell, Motorola, Qualcomm, Texas Instruments, Samsung Electronics, LG Electronics, T-Mobile, Sprint Corporation, Nvidia Or Wind River jaise companies shamil hai”.

2008 me HTC duara HTC Dream launch kiya gya tha, yeh android ka upyog karne wala phone tha. Is phone par Google ke application jaise Google Maps, Google Calendar, Google Play Store, YouTube or Gmail aadi preinstall the. Isme ek HTML (Hypertext Markup Language) web browser bhi tha. Android Google Play ke jariye se mojud application or third party apps ko bhi support karta tha. Yeh subidha 2008 me lounch ki gayi thi or ise android market kaha jata tha.

Year 2010 tak, android sabse acha bikne wala smartphone platform ban gya. Google ne es OS (Operating System) ke kai version reales kiye hai, Or aaj ke time me bhi, android sabse acha bikne wala operating system hai.

Android Version Kya hai (What is Android Version)

To chaliye bat karte hai android version or sabse update android version ke bare me. Friends aap logo ne Android Lollipop, Android KitKat, Android Nougat, Oreo or 9 pie aadi jaise naam jarur sune honge. Agar aap nhi jante hai ki yeh kya hai? to ye sab android ke hi alag-alag version hai. Jo new features or bug fixes ke sath alag-alag time par lounch kiye jate hai.

Hum sabse se pehle janege ki version kya hota hai. Android version ka matlab ye hai ki jab hum shuruat me koi product banate hai, to hum ise version 1.0 jaise naam se lounch karte hai, lekin time ke sath, jab hum us product me koi nayi subidha jodte hai ya purani kamiyo ko door kar product ko behtar banate hai. Fir hum us product ko ek naye version me launch karte hai, yani product wahi hai, keval usme kuch nayi cheeje jodi jati hai.
Or purani problem(Bug) ko door kiya jata hai. Jise ham Bug kehte hai. Isi tarah android me bhi nayi cheejo judti rehti hai. Or pehle se behtar ek nya version launch kiya jata hai. Aaj android 10(Q) sabse update version hai. Jise 2019 me lounch kiya gya tha.

Aaj ki date me android ke kayi sare version mojud hai. Reality me, ise hi API level bhi kha jata hai. Android ke naye version me kayi nayi khubi shamil hoti hai. Or iske user interface me kafi sudhar kiya gya hota hai. Ise time ke sath or jyada behtar banaya ja rha hai. Aaj android har bo kam kar sakta hai, jo ek computer system kar sakta hai. Kyoki android operating system ko lagatar achha banaye jane ki koshish ki jati rehti hai.

Google lagatar android OS ke development par kam kar rha hai. Google ne har 06 month me android ka nya versionn lounch kiya hai, lekin ab har saal ek nya version lounch kiya ja rha hai. Google company android ke version ka naam mithai ya desart par rakhata hai. Or alphabetical order me apne new version ka naam rakhta hai. In sabhi version ko one by one samajhte hai.

  • Android Beta :- Yeh 2007 me launch kiya gya ye pehla android version tha.
  • Android 1.0 :- Yeh version year 2008 me launch kiya gya tha, ye android version us time kafi popular operating system ban gya tha. Iske features ki bat kare to yeh users ko apne mobile phone me application download kar sakte hai. Or itna hi nhi yeh mobile me Camera, Gmail, Google Calender, Google Map, Web Browser jaise features ko support karta hai.
  • Android 1.1 (2009) :- Is version ko ‘Petit Four’ ke naam se jana jata ha. Isme massage ke sath attachment ko save karne ki subidha uplabdh hui.
  • Android 1.5 Cupcake (2009) :- Is version se mobile me video recording ki subidha mil pai or esi ke sath internet se copy se pest karne ka feature bhi mila.
  • Android 1.6 Donut (2009) :- Isme voice ke madhyam se search karna or fast application open ki shuruat hui.
  • Android 2.0 Eclair (2009) :- Isme camere se photo khechte bakt flash, zoom in/out, color efect jaise features ki subidha jodi gai.
  • Android 2.2 Froyo (2010) :- Isme WiFi Hotspot, Push Notification jaise features mojood the.
  • Android 3.0 Honeycomb (2011) :- Is version me ‘Table Optimize tha, jo ek sath kai kam kar sakta hai.
  • Android 4.0 Ice Cream Sandwich (2011) :- Isme nya folder banane, power or mobile volume ke liye sortcut button diye gaye the.
  • Android 4.1 Jelly Bean (2012) :- Iski madad se application ke liye notification ko hum apne anushar band or chalu kar sakte hai.
  • Android 4.4 Kitkat (2013) :- Google ki history me esa pehli bar hua tha, jab google kisi or brand ‘Nestle’ ke sath milkar ‘Nexus 5 Smartphone’ ke sath ise launch kiya tha. Isme monitoring, Sensor Optimize, Wireless Printing jaise features uplabdh hai

New Android Version (Latest Android Version)

  • Android 5.0 Lollipop (2014):- Battery life me sudhar, Home Screen par notification ki subidha. 
  • Android 6.0 Marshmallow (2015):- Fingerprint, Full Data Backup, Application ko serach bar me search ki subidha hui.
  • Android 7.0 Nougat (2016):- App Shortcut, Night Light ki subidha.
  • Android 8.0 Oreo (2017):- Jyada behtar Safe or Secure, Smart Text Selection.
  • Android 9.0 Pie (2018): Auto Brightness, App timer.
  • Android 10 (2019): Faster Sharing, Photo ke liye Depth Focus.

Android Market, Google Music or Google eBooks Store ke apas me milne(Merge) ke sath 6 march 2012 ko Google Play Store ko launch kiya gya tha google play store par 1,430,000 se adhik application mojud hai or 50 arab se jyada downlod ho gye hai. Android apps downlode karne or publish karene ke liye Google play store duniya ka sabse bada platform hai.

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x
error: Content is protected !!