New Top 5 बेस्ट स्मार्टफोन अंडर 10,000.

Top-5-Best-Smartphone

 आज हम इस आर्टिकल में बात करेंगे टॉप 5 स्मार्टफोन की जो अंडर 10,000. में अवेलेबल है। इन फ़ोन्स में आपको Android 10(Q), 5000 mAh की बिग बैटरी, FHD+IPS डिस्प्ले, जिनमें 3 से 4GB RAM और 64 GB स्टोरेज जैसे फीचर्स देखने को मिलेंगे।

1.Realme Narzo20A

Realme Narzo 20A स्मार्टफोन 21 सितम्बर 2020 को लॉंच किया गया था। Realme का यह फ़ोन 6.50-इंच टचस्क्रीन डिस्प्ले, 720×1600 रेजॉलूशन पिक्सल्स और एस्पेक्ट रेश्यो 20:9 के साथ आता है। इस फ़ोन में ओक्टा-कोर Qualcomm Snapdragon 665 प्रोसेसर दिया गया है। ये फ़ोन 3GB और 4GB RAM वैरियंट में लांच किया गया है। Realme Narzo 20A Android 10 पर बेस्ड है और इसमें आपको 5000mAh की बिग बैटरी दी गयी है। Realme Narzo 20A में फ़ास्ट चार्जिंग का सपोर्ट भी दिया गया है। 

कैमरा की बात करे तो Realme Narzo 20A में रियर में 12-मेगापिक्सल का प्राइमरी कैमरा दिया गया है, जो f/1.8 अपर्चर, सेकंड कैमरा 2-मेगापिक्सल जो f/2.4 अपर्चर और थर्ड कैमरा 2-मेगापिक्सल जो f/2.4 अपर्चर के साथ आता है। सेल्फी के लिए फ्रंट कैमरा 8-मेगापिक्सल दिया गया है।

इस फ़ोन में 32GB इनबिल्ट स्टोरेज दिया गया है, जिसे माइक्रो एसडी कार्ड की मदद से 256GB स्टोरेज को बढ़ाया जा सकता है। Realme 20A ड्यूल नैनो (GSM) को सपोर्ट करता है। Realme Narzo 20A के मेजर्स 164.40 x 75.40 x 8.90mm (हाइट x विड्थ x थिकनेस) है और इसका वेट 195.00 ग्राम है। यह फ़ोन ग्लोरी सिल्वर और विक्टोरी ब्लू कलर में लॉंच किया गया है। 

कनेक्टिविटी ऑप्शन में आपको इसमें Wi-Fi, ब्लूटूथ v5.00, माइक्रो-USB, 3G और 4G (LTE नेटवर्क्स) जैसे फीचर्स मिलेंगे। इसमें आपको एक्सेलेरोमीटर, एम्बिएंट लाइट सेंसर, कंपास/ मैग्नेटोमीटर, गयरोस्कोप (gyroscope), प्रोक्सिमिटी सेंसर और बैक फिंगरप्रिंट सेंसर दिया गया है। इसमें फेस अनलॉक का फीचर्स भी दिया गया है।

यह फ़ोन 23 नवंबर 2020 से मार्टके में आ गया और इसकी शुरूआती कीमत Rs. 8,499 रखी गया है। 

2.Xiaomi Redmi 9 Prime

Xiaomi Redmi 9 Prime स्मार्टफोन 4 अगस्त 2020 को लॉंच किया गया था। यह फ़ोन 6.53-इंच टचस्क्रीन डिस्प्ले के साथ 1080×2340 रेजॉलूशन पिक्सल्स और पिक्सल्स डेंसिटी 394 पिक्सल्स पर इंच (PPI), एस्पेक्ट रेश्यो 19.5:9 के साथ आता है। Xiaomi Redmi 9 Prime में 2GHz ओक्टा-कोर मीडियाटेक हेलिओ G-80 प्रोसेसर दिया गया है। इसमें 4GB RAM वैरियंट मिल जाते है। रेडमी का यह फ़ोन Android 10 पर बेस्ड है और इसमें आपको 5020mAh की बड़ी नॉन- रिमूवेबल बैटरी दी गयी है।

Camera part ki baat kare to Redmi 9 Prime me 13-megapixel ka primary camera diya hai, jo f/2.2 aperture, second camera 8-megapixel jo f/2.2 aperture, third 5-megapixel camera jo f/2.4 aperture or fourth 2-megapixel camera diya gaya hai. Selfie ke liye isme aapko 8-megapixel camera diya gaya hai, jo f/2.0 aperture ke saath aata hai.

Xiaomi Redmi 9 Prime MIUI 11 par based hai. Isme 64GB inbuilt storage di gayi hai, jise microSD card 512GB tak expand kiya jaa sakta hai. Redmi 9 Prime me Dual Nano SIM (GSM and GSM) ka support milta hai. Redmi 9 Prime ka measures 163.32 x 77.01 x 9.10mm (height x width x thickness) or weight 198.00 gram hai. Yeh phone Space Blue, Mint Green, Matte Black or Sunrise Flare colours me launch kiya gaya hai.

Connectivity options me Redmi 9 Prime me Wi-Fi 802.11, GPS, Bluetooth v5.00, NFC, Infrared, USB Type-C, FM radio, Wi-Fi Direct, 3G and 4G (LTE networks) 4G both SIM ka support diya gaya hai. Sensors ki baat kare to is phone me accelerometer, ambient light sensor, compass/magnetometer, proximity sensor or fingerprint sensor shamil hai. Xiaomi Redmi 9 Prime face unlock ko bhi support karta hai.

Yeh phone 23rd November 2020 se Rs. 9,999. ki starting price par available hai.

3.Infinix Hot 10

Infinix Hot 10 ko 21 September 2020 ko launch kiya gaya tha or ab iske 4GB RAM, 64GB ROM variant wale version ko bhi 4 October 2020 ko launch kiya gaya hai. Yeh smartphone 23 November se market me selling ke liye uplabdh he. Is smartphone ki starting price Rs. 8,999/- se shuru hai.

Infinix Hot 10 me 6.78-inch touchscreen display jo 720×1640 resolution pixels ke saath aata hai, jisme 20.5:9 aspect to body ratio milta hai. Is smartphone me Octa-Core MediaTek Helio G-70 processor diya gaya hai. Isme aapko 4/6GB RAM or 64/128GB storage ka option mil jaata hai. Infinix Hot 10 Android 10 par based hai. Isme aapko 5200mAh ki monster battery di gayi hai, jo 10W fast charging ko support karti hai.

Iske camera ki baat karein to Infinix Hot 10 me rear me 4 camera diye gaye hai. Jisme pehla 16-Megapixel ka Primary f/1.85 aperture ke sath, second 2 Megapixel, third 2 Megapixel or fourth 2 Megapixel ka low light camera diya gaya hai. Front me selfie ke liye 8 Megapixel camera diya gaya hai,  jo f/2.0 aperture ke saath aata hai.

Infinix Hot 10 Android 10 par based hai, jo XOS 7.0 par chalta hai. Isme aapko 128GB ka storage diya gaya hai. Isko microSD Card ki madad se 256GB tak expand kiya jaa sakta hai. Infinix Hot 10 dual nano-sim ko support karta hai. Infinix Hot 10 ka wait 204.00 gram hai. Isey Amber Red, Moonlight Jade, Obsidian Black or Ocean Wave jaise colours me launch kiya gaya hai.

Is smartphone me connectivity option me WiFi, GPS, Blutooth, v5.0, Micro-USB, FM Radio, 3G or 4G shamil hai. Phone ke sensor ki baat karein to phone me accelerometer, ambient light sensor, compass/ magnetometer, gyroscope, proximity sensor, or fingerprint sensor jaise feature shamil hai.

4.Realme C15

Realme C15 Qualcomm Edition smartphone 28 October 2020 ko launch kiya gaya hai. Is phone me 6.50-inch ka touchscreen display diya gaya hai, 720×1600 resolution pixel or aspect ratio 20:9 diya gaya hai. Realme C15 Qualcomm Edition me octa-core Qualcomm Snapdragon 460 processor milta hai. Yeh phone 3GB RAM ke base variant me launch kiya gaya hai. Yeh phone Android 10 par based hai, isme 6000mAh ki non-removable battery di gayi hai. Realme C15 fast charging ko bhi support karta hai.

Camera ki baat kare to is phone me 13-megapixel primary camera diya gaya hai jo f/2.2 aperture, second 8-megapixel camera jo f/2.25 aperture, 2-megapixel camera jo f/2.4 aperture or fourth 2-megapixel camera jo f/2.4 aperture ke saath aata hai. Selfie ke liye isme aapko 8-megapixel front camera diya gaya hai.

Realme C15 Qualcomm Edition Realme UI Android 10 par based hai. Is phone me 32GB inbuilt storage di gayi hai, or microSD card ki madad se isey 256GB tak badhaya jaa sakta hai. Realme C15 Qualcomm Edition me dual Nano SIM (GSM and GSM) ka support milta hai. Yeh phone Power Blue and Power Silver colours me launch kiya gaya hai.

Connectivity options me Realme C15 Qualcomm Edition me apko Wi-Fi, GPS, Bluetooth v5.00, Micro-USB, 3G or 4G (LTE networks) milta he. Sensors ki baat kare to phone me accelerometer, ambient light sensor, compass/ magnetometer, proximity sensor, and fingerprint sensor jaise features diye gaye hai.

Realme C15 smartphone 23 November 2020 ko Rs. 10,999. ki starting price par available ho gaya he.

5.Samsung Galaxy M11

Samsung Galaxy M11 smartphone 30 March 2020 ko launch kiya gaya tha. Samsung ke is phone me 6.40-inch ka touchscreen display diya gaya hai jo 720×1560 resolution pixels ke aath aata hai. Samsung ke is phone me 1.8GHz octa-core Qualcomm Snapdragon 450 processor diya gaya hai. Samsung Galaxy M11 smartphone 3GB RAM variant me aata hai. Yeh phone Android par based hai, jisme 5000mAh ki non-removable battery di gayi hai. Samsung Galaxy M11 fast charging ko bhi support karta hai.

Samsung Galaxy M11 me rear me 13-megapixel ka primary camera diya gaya hai, jo f/1.8 aperture, second camera 5-megapixel jo f/2.2 aperture or third camera 2-megapixel ka hai jo f/2.4 aperture ke saath aata hai. Selfie ke liye isme aapko 8-megapixel ka front camera f/2.0 aperture ke saath aata hai.

Is phone me 32GB inbuilt storage diya gaya hai, jise microSD card ki madad se 512GB tak expand kiya ja sakta hai. Yeh phone dual-SIM Nano-SIM cards ko support karta hai. Samsung Galaxy M11 ke measures 161.40 x 76.30 x 9.00mm (height x width x thickness) or weight 197.00 gram hai. Yeh phone Black, Blue and Violet colours me launch kiya gaya hai.

Connectivity options Samsung Galaxy M11 me Wi-Fi 802.11, Bluetooth v4.20, USB Type-C, FM radio, 3G or 4G jo dual 4G ko support karta hai. Is phone me apko accelerometer, ambient light sensor, compass/ magnetometer, gyroscope, proximity sensor, and fingerprint sensor jaise sensor diye gaye hai.

Samsung ka yeh phone 23 November 2020 ko Rs. 9,999. ki starting price par available ho chuka hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x
error: Content is protected !!