What is the RAM and how does it works?

RAM ka full form “Random Access Memory” hota hai. Isey hum main memory Or first memory bhi kehte hein. RAM ke andar CPU me kiye jaa rahe work ka data or command store rehta hai. Yeh memory CPU ka hissa hoti hai, isliye iska data direct access kiya ja sakta hai –  suggest2u.com

Aaiye hum RAM ko or aasan words me samajhte hai. Example ke liye maan lijiye ki aap kisi office me baithe hai or aap ko kam karne ke liye ek file chahiye jo dusre room me rakhi hue hai. To jab aap ko kam karna hai, to aap file dusre  room se le aayenge or desk par rakhkar us par kam karne lag jayenge. Jab aap ko bahut sari file par kam karna hoga to aap ko ek bade desk ki jarurat padegi, Jispar aap sari file lekar rakh denge. Ab aapko koi bhi kam karna hoga to aap file uthakar kaam karne lag jayenge. Jab aapka saara kaam pura ho jayega, tab aap vo sari file usi room me wapas rakh aayenge jahan se aap utha kar laaye the. – suggest2u.com

RAM bhi aapke CPU ya mobile par isi tarah se kam karti hai. Iske andar jo file wala dusra room hai, vo internal memory hai. Jisme aapki saari files ya apps hai, or jo desk hai vo RAM ho gayi jis par hum sab kaam karte hai. To yhan par iska kaam aapki cammand ke hisab se file lekar usey run karna hai. Kisi file ko open karne mein kuch hi seconds ka time lagta hai. Ye sab isliye hota hai, kyoki RAM ki speed fast hoti hai. Is bat se aap yeh andaza lga sakte hai ki 1GB RAM banane me utna kharcha hota hai, jitna ek 16GB memory card banane me. – suggest to you

CPU ko jo file chahiye hoti hai RAM usey jaldi se jaldi bhejne ka kaam karti hai. Jab aap kisi apps ya game ko install karte hein to vo phone ki RAM me nhi balki phone ki internal memory (Read Only Memory) me install hota hai. Jab aap kisi app par ya game par click karte hein to vo app ya game aapki internal memory se nikalkar phone ki RAM me aa jata hai, or RAM kaam karne lagti hai. Isi beech RAM or CPU ke beech me jankari (information) ka aadan pradaan hota hai. Agar aapke device ki RAM kam he or aap usme zyada heavy app ya game run karte hai to device hang ho jata hai. Isilye heavy uses ke liye ya yun kahe ki zyada multi-tasking ke liye zyada RAM ki zarurat hoti hai. – suggest 2u

RAM Ki Visheshtayein (Characteristics of Computer RAM)

  • RAM CPU ka ek hissa hoti hai.
  • Computer iske bina kaam nhi kar sakta hai. 
  • Yeh Computer ki first memory kehlati hai.
  • Isme uplabdh Data ko Randomly Access kar sakte hai.
  • Yeh memory temporary lekin bohut fast hoti hai.
  • RAM kafi Mehengi hoti hai.
  • Yeh internal Storage se different hoti hai.

Lagatar computer technology me vikaas ho rha hai jiske kaaran computer parts me badlav aaya hai, jisme RAM bhi shamil hai. RAM bhi vikaas ke kaaran alag-alag work characterstics (karya visheshtaon) me mojud hue hai, jisko do prakar se baanta gaya hai.

  1. SRAM
  2. DRAM

SRAM :- SRAM ka Full Form “Static Random Access Memory” hota hai. Jisme “Static” yeh btata hai ki RAM me data fixed rehta hai. Or usey bar-bar refresh karne ki jarurat nhi padti hai. SRAM bhi Volatile Memory hoti hai isilye power On rehne tak isme data mojud rehta hai. Power Off hone par saara data automatic delete ho jata hai. Is memory ko “Cache” Memory ke roop me istemal kiya jata hai. 

DRAM :DRAM ka Full Form “Dynamic Random Access Memory” hota hai. Jisme “Dynamic” ka matlab hota hai movable means hamesha changed hote rehna. Isliye is RAM ko lagatar Refresh karna padta hai, tabhi isme data store kiya jaa sakta hai.

DDR3 RAM is memory ka ek acha example hai. 

CPU ki main memory ke liye DRAM ka hi istemal kiya jata hai. Kyoki isme se data ko Randomly Access kiya jaa sakta hai. Or isme naya data apne aap store hota rehta he jiski wajah se CPU ki speed fast bani rehti hai.

DRAM bhi Volatile hoti hai isliye isme DATA Power Supply On rehne tak hi store rehta hai. Aajkal Computers, Smartphones, Tablets jaise device me DRAM ka hi use kiya jata hai, kyunki yeh SRAM se sasti bhi hoti hai. 

To ab aap RAM ke baare me jaan gye honge ki RAM kya hai or kaise kaam karti hai. Or CPU ke liye kitni jaruri hoti hai. Chaliye baat karte hein ki kitni RAM ki zarurat multi-tasking or normal use ke liye chahiye hoti hai. Waise to 2GB, 3GB RAM normal use ke liye kafi hai, Par heavy use or multi-tasking ke liye  4GB, 6GB RAM zyada behtar option hai, kyunki RAM baad me badhai nhi jaa sakti he. Haan, ye baat alag hai ki CPU me RAM badhai ja sakti hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x
error: Content is protected !!